Monday, August 3, 2009

zard manzar

--

hum wahshat, zameen. par gire
un tukkdon. ko dekh rahe the;
tabhee ek sili see hawaa ka jhon.kaa
ek peele patte ko apne saath lekar aayaa

woh patta aakar un tukdon. par kuchh
is taraah se giraah, be sakhtah kaan.ch ke
woh saare tukkde peele lagne lage.
woh hawaa kaa jhon.kaa jaate hue
khidki ko yun. halke se hilaa kar gayaa
jaise koi dulhan, apne khiyaaban. ko
ek aakhir baar mudkar alwidaah kah rahee ho.

phir uss khuli khidki se aftaab ki kirne
un zard tukkdon. me yoon. gul gayeen.
jaise hamare wahshat ko mitaane
peele kapdon. me koi dulhan hee aayee ho.


--

No comments: